Google Par Apni Website Ki Ranking Kaise Check Kare
Hum kitni mehanat se blog banate hai. or usme badhiya badhiya post bhi dalte hai. fir blog ko google search engine se submit karte hai. magar itna kuch karne ke baad bhi humare blog par Traffic nahi badhti to hume nirasha hone lagti hai. or bahut se blogger to blogging hi chod dete hai. hume aysa nahi karna chahiye or success hone ki ummid le kar aage badhane ki koshish karni chahiye. iska sabse acha tarika hai ki aap apne blog par wohi post karo jo aapke visitors ko pasand ho. iski jankari google analytics me milti hai. google analytics me aap dekh sakte ho ki koun kya search karke aapki site par aaya hai. isse aapko next post likhne ke liye topic mil jayega. aaj hum google ranking ki bat karenge ki apni site blog ki google ranking kaise pata kare.
Apne Blog Ki Google Ranking Kaise Pata Kare?
Step 1
1. Google Search Console log in kare.
agar aapne apne blog ko google search engine se submit nahi kiya hai to yaha click kar ke pahle blog ko search engine se submit kare.
2. apni site ke name (url) par click kare.
agar aapne apni site google search console par add nahi ki hai to Add a property par click kare.
3. ab right side sidebar me "Search Traffic" par click karke "’Search Analytics" par click kare.
1. Total Ranking
Clicks, impressions, CTR, Position par tick kare.
2. Queries
par click kar aap apni site ya blog ki data ranking check kar
sakte hai. jaise aapko blog par google search engine se kitne log aa
rahe hai. kite logo ko aapki site pasand hai. CTR kitna hai. aapki site
ki position kya hai. isme aapko ye bhi pata chal jata hai ki visitor kya
search karke aapki site par aate hai.
3. Pages
pages par tick kar ke pata chalta hai ki aapki site ki kounsi post par google search engine se kitne visitors aaye hai.
4. Countries
countries option par aap pata kar sakte hai ki aapki site ko kounse desh
se kitne log use karte hai. or kounse desh se kitne visitors google ke
throw aate hai.
5. Devices
yaha par ye pata chalta hai ki aapki site ko kis device me kitni bar use kiya gaya hai. computer, mobile, tablet etc.
6. Search Type
visiter google search engine me kya kya type kar ke aapki site par aate hai.
7. Dates
yaha aap day ki hisab se visitors rank check kar sakte hai.
8. Totals & Averages
Totals & Averages me aap apni site ke Clicks, impressions, CTR, Position Averages dekh saktew hai.
9. Queries
ye option sabse important hai. yaha par aapki site ke visitors ke dwara
google search box me type kiye gaye topic show hote hai. yani kounse
topic par kitne visitors aapki site par aate hai. in topic ki madad se
aapko new post likhne ki jankari milti hai. isse aap pata kar sakte hai
ki aapke visitors ko kya jada pasand hai. or aapko next post kis topic
par karni chahiye.
10. Clicks
yaha par aap dekh sakte hai ki kis topic par click kar ke kitne visiter
aapki site par aaye hai. isme sare topics ki jankari rahti hai. aap pure
topic jarur pade taki aapko apne visitors ki pasand pata chal sake.
11. Impressions
kis topic par kitna ‘Impressions hai. yani is topic se aapki par aapki site kitni bar google search iengine me show huyi hai.
12. CTR
aapki site ka result jab google par cshow hota hai to visitors kitni bar
aapki site ke link par click karte hai. isme aapko total clicks ki
averages pata chalti hai. kis keyboard par kitni averages se click huye
hai.
13. Position
google search engine me aapki site ki position kya hai. aapki site ki
ranking kitni hai. aapki site ke links kis posotion par dikhaye jate
hai. yaha par aapki site ki google ranking pata chalti hai.
From Auther
aapko ye post kaisi lagi agar aapko ye post helpful lage to comment me
jarur btaye. or sath hi is post ko share karke aap bhi humari help kar
sakte ho.
badhiya jankari di apne !
ReplyDeletevisit my site www.techindiaz.com