Google Custom Search Engine Blog Me Kaise Add Kare?
aaj mai aapko btaunga ki blog me google search engine kaise add karte hai. kyuki kei bar humari site ke visitors ko apni pasand ki jankari nahi mil pati. isliye google ne ye service start ki hai. hum issi paise bhi kama sakte hai. pahle hum blog me google search box add karna sijhenge uske bad paise kamana.
Blog me search engine kyu add kare?
1. aapke visitors ko apne pasand ke topic tak jane me aasani hogi.
2, jab koi google search engine me search karega to aapki kamayi bhi hogi.
Google Custom Search Engine Blog Me Kaise Add Kare?
Step 1
sabse pahle aap Google Search Engine ki site par jaye. or sign in kare.
1. apni site ka url likhe.
2. agar aap chahe to yaha par apne dusre blog;s ka url bhi add kar sakte hai.
3. apni language select kare.
4. apne search engine ko koi bhi ek naam de.
5. ab Create par click kare.
Step2
ab ek new windows khulegi.
1. Control Panel par click kare.
Step 3
1. apne search engine ke liye koi ek themes select kare.
2. Sace and Get code par click kare.
Step 4
is code ko ctrl+c key button daba kar copy kar le.
Step 5
Ab www.blogger.com par ja kar log in kare.
Blog ke dashboard me jaye or layout par click kare. ab jaha bhi aapko
search box dikhana hai. add widget par click kare or add/ javascreep par
click karke ye code paste kare.
ab aapke blog par google search engine add ho chuka hai. aap chahe to ise aap customize bhi kar sakte ho.
Agar aapko google search engine ke bare me kuch puchna ho to comment kare.agar aapka blogger ya internet se related koi or sawal hai to humari site ke Sawal Jawab Forum me post kare.
http://hindikatiger.blogspot.in ISME TRAFFICE NHI AA RHA HAI
ReplyDelete